Chehra

Yeh chehra bada ajeeb hai
Sab iss mukhote ko pehne hue hai
Kisika sach hai toh kisika Jooth
Har kisika chupa yeh ek alag roop hai

Koi nahi pehchan pata ki Kya sachai hai iski
Chhal kapat krne me maahir hai ye
Pal Mein hasade pal me rulade
Aisa koi shayar hai yeh

Iss naqaab ke deewane bhi hai
Aur nafrat bhi Krte hai log isse
Chahe toh maardaale apni adao se
Ajeeb hai is ke kayee kisse

Mein toh Kabhi samajh nahi paayi
Kisi chehre ke jazbaat
Raaz lekar ghoomraha hai har koi chehra hai ek nayaab kalakaar

Tum hi batado
hai Kya ye ajab paheli
Chehra hai ya kitaab jiske panno me khokar Mein ye jahaan bhuli?

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Happily ever after.

I will move on

It was all about sex