Posts

Showing posts from April, 2019

Metro ke dhakke...

Image
(Photo credit: Neha Thureja/Instagram) Metro ke dhakko Me kharch ho rahi zindagi, Ab jeeye Kya bachaaye Kya, Kaash tu hoti, safar baaton me katt jaata... Ki ye safar Kuch English wale suffer jaisa hai, Anjaan logo Me dekh raha hu Me khud ko, Roop toh badle hue hai par gham Ek jaisa hai, Metro ke dhakko Me dard Nahi hai, Par dhakke uss dard ko taza kar rahe hai, Joh hum kahin kamre ke kone me roz chodh aate hai, Un sapno ki tarah joh zimmedari ke bhoj tale, siskiyaan lena bhi bhool chuke hai... Metro ke dhakko Me kharch ho rahi zindagi, Adhuri hai ya puri? Kaash Tu hoti, haath pakadkar adha pura sapna dekh hi lete. Soch hi lete ek pal ko ki yeh haath chutenge Nahi, Ki roothne ka toh sawaal hi Nahi, Ye duniya me jaat paat ka bawaal befizul hai Aur anth Me sirf pyaar hi rahega... Bolo rahega na? Aise hi pucha karti thi na tum? Bol do Woh Sach joh mujhe sunna hi Nahi hai aur keh do - Arre mazak tha- Bas ussi tarah Jab tumne Kaha ki pehli Nazar Me maine tumhe King

Kash tu chai hoti

Image
(Photo credit: Neha Thureja/Instagram) Kash tu chai hoti Dilli ki sard raatoh me tujhe hatheli me dabaye rakhta, teri garmi mehsus kar, khud ke chehre pe teri bhaap ki pucchiya aane deta, Tujhe hoontho se chu leta mai din me kai dafa, meri raat ki neind tu hi udati, haaayeee, kash tu chai hoti. Kash tu chai hoti, teri khushboo se muskurahat fail jaati mere chehre pe, teri garamahat se meri saanso me kuch raahat aati, yun teri ek chuski, chutki se mere sar dard ko gayab karti, yun tere khatam hote hi -- kaash thodi aur hoti -- wali talab jaagti, Kash tu chai hoti... Dilli ke 45 degree ki garmi me uff uff, rukh rukh kar, yun paseeno se bheega main, thoda frustrated, thoda gussaya sa, dosto saath, tere saath, uss nikamme boss ko gaaliya deta, fir tere khatam hote hote, gussa khatam karke wapas umeed bharkar kaam pe wapas jaata Kash tu chai hoti, teri zarurat ka andaaza sabko hai, meri maa bhi tujhe pasand karti, meri behen bhi, Na unhe jaat dikhti, na paise