Kash tu chai hoti
(Photo credit: Neha Thureja/Instagram) |
Kash tu chai hoti
Dilli ki sard raatoh me tujhe hatheli me dabaye rakhta,
teri garmi mehsus kar, khud ke chehre pe teri bhaap ki pucchiya aane deta,
Tujhe hoontho se chu leta mai din me kai dafa,
meri raat ki neind tu hi udati,
haaayeee, kash tu chai hoti.
Kash tu chai hoti,
teri khushboo se muskurahat fail jaati mere chehre pe,
teri garamahat se meri saanso me kuch raahat aati,
yun teri ek chuski, chutki se mere sar dard ko gayab karti,
yun tere khatam hote hi -- kaash thodi aur hoti -- wali talab jaagti,
Kash tu chai hoti...
Dilli ke 45 degree ki garmi me
uff uff, rukh rukh kar, yun paseeno se bheega main,
thoda frustrated, thoda gussaya sa,
dosto saath, tere saath, uss nikamme boss ko gaaliya deta,
fir tere khatam hote hote, gussa khatam karke wapas umeed bharkar kaam pe wapas jaata
Kash tu chai hoti,
teri zarurat ka andaaza sabko hai,
meri maa bhi tujhe pasand karti,
meri behen bhi,
Na unhe jaat dikhti, na paise ki kami,
kash tu chai hoti...
par nahi hai,
aur isiliye shayad tu waha hai, aur main yahaan
tujhe yaad karte hue chai pee raha hu...
(I wrote this poem after getting inspired by Amandeep Singh (@amandeep.khayal) who performed 'Chai peene aaogi' under the TTT Spotlight. Go hear the wonderful piece)
Comments
Post a Comment